Also Read
Hussain ki ye Shan hai, Hussain ki ye Shan hai has written this Manqabat by Shayare Islam Habibullah Faizi Sahab.
Hussain ki ye Shan hai, Hussain ki ye Shan hai lyrics in Hindi
मनक़बते इमाम हुसैन
है सारे दुश्मनाने मुस्तफा़ का खा़नदान है
तपी हुई ज़मीन है खंजरों का साइबान है
है तीन दिन की तिशनगी है खुश्क हर ज़ुबान भी
हुसैन कह रहे हैं सब्र कर लो इम्तिहान है
हुसैन की ये शान है हुसैन की ये शान है।
रियाजे़ इश्के़ नबवी की बहार है नमाज़ से
नमाज़ कु़्ररतुल उयून करार है नमाज़ से
अली के लाल को भी कितना प्यार है नमाज़ से
नमाज़ में हैं जबकि पूरा तन लहूलुहान है
हुसैन की ये शान है हुसैन की ये शान है।
सुनाए जाते हैं अभी भी वाकि़आते कर्बला
तो ख़ून रोता है ज़माना ज़ख्म होता है हरा
गुज़र गए हैं गरचे 14 सौ बरस तो क्या हुवा
वोह अब भी कायनात के दिलों पे हुक्मरान है
हुसैन की ये शान है हुसैन की ये शान है।
हबीबुल्लाह फैज़ी
❁〰〰〰〰〰〰〰✰✰✰〰〰〰〰〰〰❁
Hussain ki ye Shan hai, Hussain ki ye Shan hai lyrics in English
Manqabate Imame Aali Muqaam Radi Allahu Anhu
Hai Saare dushmanane Mustafa ka khandan hai
Tapi hui Zameen hai khanjaron ka Saiban hai
Hai teen din ki tishnagi hai khushk har zubaan bhi
Hussain keh rahe hain Sabr karlo imtihan hai
Hussain ki ye Shan hai Hussain ki ye Shan hai
Riyaz e Ishq e Nabwi ki bahar hai Namaz se
Namaz Qurratul uyoo(n) Qarar hai Namaz se
Ali ke laal ko bhi kitna pyar hai Namaz se
Namaz mai hain jabki poora tan lahuluhan hai
Hussain ki ye Shan hai Hussain ki ye Shan hai
Sunaye jate hain abhi bhi waqiaate karbala
To khoon rota hai zamana zakhm hota hai hara
Guzar gaye hain garche 1400 baras to kya hua
Woh ab bhi kainat ke dilon pe hukmran hain
Hussain ki ye Shan hai Hussain ki ye Shan hai
Habibullah Faizi
❁〰〰〰〰〰〰〰✰✰✰〰〰〰〰〰〰❁
आप सभी से निवेदन है कि सही कमेंट करें, और ग़लत शब्दों का प्रयोग ना करें